Movie : Refugee
Song : panch nadiya pawan ke jhonke
Singer,s : sonu nigam, Alka yagnik
Music : anu malik
Lyrics : javed akhtar
Lyrics
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhadein insaanon ke liya hain
Socho tumne aur maine
Kya paya insaan hoke
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhadein insaanon ke liya hain
Socho tumne aur maine
Kya paya insaan hoke.
Jo hum donon panchhi hote
Tairate hum is neel gagan mein
Pankh pasaare
Saari dharti apni hoti
Apne hote saare nazaare
Khuli fizaaon mein udte
Khuli fizaaon mein udte
Apne dil mein hum sara pyaar sama ke
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhadein insaanon ke liye hain
Socho tumne aur maine
Kya paya insaan hoke
Jo main hoti nadiya ar tum
Pawan ke jhonke to kya hota
O... jo main hoti nadiya ar tum
Pawan ke jhonke to kya hota
Pawan ke jhonke nadi ke tan ko
Jab chhoote hain
Pawan ke jhonke nadi ke tan ko
Jab chhoote hain
Laharein hi Laharein
Banti hain...
Hum donon jo milte
To kuchh aisa hota
Sab kehte yeh lahar
Lahar jahan bhi jaaye
Inko na koi toke
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhadein insaanon ke liya hain
Socho tumne aur maine
Kya paya insaan hoke
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
................END.................